Us ne kaha tum me wo pehli sii baat nahe,
Main ne kaha zindagi me tera saath nahe,
Us ne kaha ab be kisi ki aankhon me doob jate ho,
Main ne kaha kisi aankh me wo gehraye nahe,
Us ne kaha kiya main bewafa hon,
Main ne kaha muje ab wafa ki talash nahe,
Us ne kaha kiya bhool jayo ge mujhko,
Main ne kaha tum haqeeqat ho koye khawab nahe

Submitted by: Usman
Hello: +923457938965