Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum
Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum
Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum
Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!
Submitted by: Chanda
2 Responses
GHUM BALOCH
19|Aug|2007 1muhabat chahat he wafa kuch bhy nuhen
our zindagi ghum ke sawa kuch bhy nuhen.
aap ke paas mere sawa sub kuch he
mere paas aap ke sawa kuch bhy nuhen.
idrees
18|Sep|2007 2muhabat chahat he wafa kuch bhy nuhen
our zindagi ghum ke sawa kuch bhy nuhen.
aap ke paas mere sawa sub kuch he
mere paas aap ke sawa kuch bhy nuhen.
Leave a reply