Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main tau main hi raha,tujh se door ja kar bhi
.
.
Main sakht jaan tha is karb se bhi bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath se ganwa kar bhi
.
.
KHUDA karay k tuhe doori hi raas aa jaaye
Tu kiya karay ga bhala ab yahan pe aa kar bhi
.
.
Abhi tau mere bikharnay ka khail baqi hai
Main khush nahin hoon abhi apna ghar luta kar bhi
.
.
Main us ko satah se mehsoos kar k bhi khush hoon
Woh mutma-in hi nahin meri teh ko pa kar bhi
.
.
Abhi tak us ne koi bhi tau faisla nahin kiya
Woh chup hai mujh ko har ik tarah aazma kar bhi
.
.
Is hujoom mein lar bhirr k zindagi kar lo
Raha na jaaye ga duniya se door ja kar bhi
.
.
Khula yeh bhaid k tanhaaiyaan hi qismat hain
Ik umar dekh liya mehfilain saja kar bhi
.
.
Ruka na zulm mere raakh ban-nay par bhi RIAZ
Hawa ki khu tau wohi hai mujhe jala kar bhi…..!!!
February 3rd, 2010 at 5:33 pm
Muhabat rog hoti hy kaha bhi tha
Rula k khud bhi roty hain kaha bhi tha
Usy tum dil ki dharrkan ka pata mat do
Ye us main dard hoty hain kaha bhi tha
Kinary k boht nazdeek le ja kr ye kashti ko
Dabo dety hain sahil pe aksar kaha bhi tha
Azal se us ki aadat hi kuch aisi hy
Zamany ko jaza kr aap so jana kaha bhi tha
February 3rd, 2010 at 5:34 pm
Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main tau main hi raha,tujh se door ja kar bhi
.
.
Main sakht jaan tha is karb se bhi bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath se ganwa kar bhi
.
.
KHUDA karay k tuhe doori hi raas aa jaaye
Tu kiya karay ga bhala ab yahan pe aa kar bhi
.
.
Abhi tau mere bikharnay ka khail baqi hai
Main khush nahin hoon abhi apna ghar luta kar bhi
.
.
Main us ko satah se mehsoos kar k bhi khush hoon
Woh mutma-in hi nahin meri teh ko pa kar bhi
.
.
Abhi tak us ne koi bhi tau faisla nahin kiya
Woh chup hai mujh ko har ik tarah aazma kar bhi
.
.
Is hujoom mein lar bhirr k zindagi kar lo
Raha na jaaye ga duniya se door ja kar bhi
.
.
Khula yeh bhaid k tanhaaiyaan hi qismat hain
Ik umar dekh liya mehfilain saja kar bhi
.
.
Ruka na zulm mere raakh ban-nay par bhi RIAZ
Hawa ki khu tau wohi hai mujhe jala kar bhi…..!!!
February 3rd, 2010 at 5:35 pm
Uspe Khuli Jati Mere Shoaq Ki Shiddat Saari,
Dekhay Hotay Jo Mere Paon K Chaalay Usnay,
Jiska Har Aiyb Zamanay Se Chupaya Maine,
Mere Qissay Sar-e-Bazar Uchalay Usne,
Jab Usay Meri Muhabbat Pe Bharosa Hi Nahi Tha,
Kyun Diye Meri Wafaon K Hawalay Usnay,
Meri Dam Torti Khuwaish Ka Khayal Aa Na Saka,
Apnay Armaan Hemesha Hi Nikalay Usnay,
Ik Mera Hi Toh Hath Na Thama Usnay,
Warna Girtay Huwe Kitnay Hi Shamabalay Usne…..!!!!