Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !

Mahaz tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !

Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflison ki muflisi kya hai !

Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !

Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !

Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !

Aman aur chain sakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !

Submitted by: Neha