Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
Submitted by: Rida
2 Responses
GHUM BALOCH
01|Sep|2007 1nazar ko nazra ki isharon ne maara
chaman ko chaman ki baharon ne maara.
yeh dil tha akela our ghum the hazaron
akele ko mil ke hazaron ne maara.
0505078792
yogesh
27|Sep|2007 2nazar ko nazra ki isharon ne maara
chaman ko chaman ki baharon ne maara.
yeh dil tha akela our ghum the hazaron
akele ko mil ke hazaron ne maara.
Leave a reply