|
|
Aey Karbala k qasr ki mai’maar as’salam….
Aey jur’aton ki aahani deewar as’salam….
Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as’salam….
Aey ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as’salam….
Jo rang charh chuka tha utarnay nahi diya….
Tu nay kisi Shaheed ko mernay nahi diya.
Submitted By: Kashif
Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log
Janat Tou Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ny
Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy
Jeena ALI Sy Seekho
Marna HUSSAIN Sy
Submitted By: Asghar
Urdu Translation of Nad-e-ALI
“Ajaib-e- KHUDA k jalwa bardar Hazrat ALI (A.s) ko zra pukaro tu sahi, tum har museebat aur hr bala men un ko apna mushkil kusha pao ge.TujHe teri bey panah “AZMATON” ka wasta ay ALLAH,
Ap ko ap k wasi ki “NABUWAT” ka wasta hy ay MUHAMMAD (S.A.W.W) aur Hazrat ALI aap ki “WILAYAT” k sadqay men tamam ranjo gham aur museebtain dafah farmaye aur hmari khbr geeri kijiye.
Ya ALI
Ya ALI
Ya ALI
Submitted By: Momna
Sab kuch qurbaan kar dia ALLAH kay naam par
Asghar sa phool bhi na bachaya hussain ne
Submitted By: Soha
Zom e kasrat tha jinhain sab wo hijazi nikle
Wo 72 they jo kirdar k ghazi nikle
Is haqiqat ko bhala kon chupa sakta hy
Jitne Shabbir k qatil thy namazi nikle
Submitted By: Ali
