Tod diya dil humara unhone kitne baar,
aur Humne joda use baar baar,
Unhone kaha tuta dil kis kaam ka,
humne kaha zara dekho gaur se,
isme hai chehra sirf aap ka.
Submitted By: Amit
Tujh pe likhna shuru kahan se karu,
Ada se karu ya haya se karu.
Tu itni khubsurat hai aye jane Gazal,
Mumkin hai teri tarif zubaa se karun.
Submitted By: Ahmar
Roti huyi aankho se tujhe muskan kaise du
Anjaan hu khud tujhe pehchan kaise du
Tu hi to hai jaan meri
Tu hi bata tujhe apni jaan kaise du.
Submitted By: Arvin
Ghar mom ka pahlay to banaya nahi jata,
ban gayay to sooraj say bachaya nahi jata,
ab tum ho muqabil to mujhay harna hoga,
tum ko to meri jan haraya nahi jata ……..
Submitted By: Sana
Maa Bache Baich rahen hn Kaisi Tangdasti He
Ata Chawal Mehnge Hen, Insan ki Jan Sasti He
Hakumat Ko Ghurbat Ka Pta nhi
Kitna Afsos Hota he jb Bhook Dasti Hy
Submitted By: Babar
Kya log they ke jaan se barrh kar aziz they
Ab dil se kahu naam bhi aksar ke kho gaye
Ae yaad e yaar tujh se karein kya shikayatein
Ae dard e hijr hum bhi to pathar ke ho gaye
Submitted By: Sami
Mustakil is jahan main tum bhi nahin.
Mustakil is jahan main hum bhi nahin.
Na musarrat hi mustakil hai yahan.
Mustakil is jahan main Ghum bhi nahin.
Phir adawat hi mustakil hi kyoun ho.
Aao kuch is tarha na ker dekhen.
In andheron main roshni ker lain.
Aao Dosti ker lain.
Aao Dosti ker lain.
Submitted By: Zareena
Zubaan se tumhe keh nahi sakte
Isliye hmesha khuda se Fariyaad karte hai
Jab bhi tumhara Dil jor se dhadke
Samajh Lena hum tumhe
Dil se yaad karte hai.
Submitted By: Anil
Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi,
Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi,
Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi,
Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi………
Submitted By: Sohan
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Rustam,
Dunyan k sab hamraaz badal jate hain.
Kisi ki duri se koi mar nai jata,
Han magar jeenay k andaaz badal jatey hain
Submitted By: Deepa