Aaj Tumhaari Saalgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa
Hum To Sirf Dua Go LoG
Khaak-o-Mahar Ka Kia Sanjog
Paas Rahain Yaa Door Rahain
Wahshat Say Ranjoor Rahain
Wahan Mehfil Aabad Hai Naa
Aaj Tumhari Saalgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa
Kaisay Kaisay Khawaab Bunay
Rang Barangay Phool Chunay
Un Ke Haath Pe Haath Rahay Gaa
Saalgirah Kaa Cake Katay Gaa
Khawab Har Aik Barbaad Hai Naa
Aaj Tumhari Saalgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa
Submitted By: Sara Alfred
One Response
azeem
07|May|2008 1bauhot acchi nazm hai..mujhe pasand aayi…ye un dilo ki awaz hai jo ek dusre se juda hain…
Leave a reply