har pyaar karne waale ki ajab kahaani hai,
chup rehna bhi pyaar ki nishani hai,
kahin koi zakham nahi phir kyon dard kaa ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai…!
Submitted by: Preet
khuda kisi ko kisi pe fida na kare,
kare to qyamat tak juda na kare,
yeh mana k koi marta nahi judai mein,
lekin jee bhi to nahi paata tanhai mein…!
Submitted by: Preet
dil se dil juda nahi hota.
yu he kisi per ‘fida’ nahi hota.
pyaar se bada to ‘DOSTI’ka rishta hai.
kyonki dost kabhi bewafa nahi hota.
Submitted by: Preet
tamanna se nahi tanhai se darte hain.
pyaar se nahi ruswai se darte hain.
milne ki to bahut chahat hai.
magar mailne k baad judai se darte hain
Submitted by: Preet
jab dosti ki daasta waqt sunayega.
tb tumko bhi koi shaks yaad aayega.
tab bhool jayenge zindagi k gam ko.
jab aapke saath guzara smay yaad aayega
Submitted by: Preet
jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati
marna chahte hain magar maut paas nahi aati
bahut udaas hain hum is zindagi se
unki yaadein bhi to yad aane se baaz nahi aati
Submitted by: Preet
Dill ke kone se ek awaaz ati hai
humain harpal onky yaad ati hai
dil poochta hai baar baar hum say
kya unhy bhi humari yaad aati hai
Submitted by: Numan Habib
Chandani ne Kaha ke tu pyar kar…
Shama ne kaha aankhen char kar…
Gori ko cheda to boli muskarakar..
Abhi tu nadaan hai kuch intezar kar…!
Dil se Dil lagakar to dekho,
Hamari yaadon mein aansoo bahakar to dekho,
SMS to kya call bhi karoonga,
Ek baar mere mobile ka bill chukakar to dekho…
Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau,
suna Saku Kuch aapko, wo andaz kahase Lau,
Yu to Chaand taroki tarif karna aasan hai,,
Kar saku aapki tarif wo alfaz kahase lau…